Skip to main content

Posts

Showing posts from May, 2018

Haan tum aaj phir se yaad aa rahe ho..

Ehsaas... The most beautiful feeling in this world. Doesn't matter if it is love or hate.. what sounds. What feels beautiful to you. It is all about that one feeling only. So here it goes.  The most awaited poetry series: Ehsaas... Don't forget to leave your feelings on this right in the comment section below. 😉 Tik tik karti ghadi ke sath har lamha guzar to raha hai. Par shayad me us hi jagah par ruki hoon. Jahaan hum door ho gaye the. Ye pal pal guzarte lamhe mujhe tumse door to le aaye. Par kya juda ho paye mujhse teri yaadon ke saye.. Wo wada sang chalne ka us kachi dor ki tarah hi tha.  Ek pakiza sa khwab hi tha.  Shayad us umra ka shabab bhi tha. Kya itna hi tujhse milna likha tha.  Ya juda hona khel naseeb ka tha. Chalo maan liya.. Man liya ke mukammal khwab na sahi. Us deewane pan ki pakizagi hi sahi. Teri dhadkano se kadam-tal kuch faslo se hi sahi. Yun ruhani ishq ki maujoodgi bhi kuch galat to nahi. Dekh lamhe guzar rahe hain.  Ye umra bhi dhal hi ra...

Ehsaas..

Hey, Morningz..! U know after lots of love by you guys. After such a long time. I mean really long as it feels. Posting it here for the very first time.  #Ehsaas An innocent intro.  Stories to make you fall in love. Do share your feedbacks right here or DM. So here it goes... #LetterToEhsaas .. Suno.. tumhari yaad aati hai. Jab bhi yun aadhi raat ko me kisi bure khwab se dar kar cheekhti hoon. Tumhari yaad aati hai. Mere ehsaaso ko samajhne ke liye ehsaas ka hona jaroori hai. Jab esa koi nahi hota, tumhari yaad aati hai. Wo rato ko jagane wali bhookh aaj bhi satati hai. Chandani se roahan raato me aaj bhi tumhari yaad aati hai. Dekh tera favorite aaloo ka paraatha kha rhi hoon. Koi raat ke 2:30 baje sath apne hatho se nahi khilata mujhe. Sach teri bhott yaad aati hai. Andhere me tera hath pakadkar chalne wali me, aaj fridge se water bottle khud lekr aayi hoon. Wo kale ghupp andhero se darkar mera chillana or tera mujhe apne aagosh me lena. Mano ek dusre ke liye hi ...