Aaina: Kabhi samajhne ki koshish karna.
Is nam ke piche ki wajah..
Kitne sari baton ka Razdar hai ye dil. Shayad isliye itna kamzor hai.
Mana ki tera Dil dukhaya mene.
Iska matlab ye nahi ki me khudgarz hoon.
Tera dil dukhati hoon. To Dard mujhe bhi hota hai.
Tu samajhta hai mujhe. Meri baton ko.
Tu kehta hai, Bachpana hai mujhme.
Kabhi ye socha, ye bachcha kabhi bada kyu nahi hua ??
Mene dekha hai. Dilo ko tut'te hue.
Mene dekha hai,
Hansti hui Aankhon ko rote hue.
Un aansoon ko pochne ki koshish karte karte.
Khud ko itna majboor kar diya hai mene.
Ke ab koi mujhe pyaar kare to yakeen nahi hota.
Itna majboor kar diya khud ko,
Sab se door chale jane ke liye.
Ke ek din me kaheen gum ho jaoon. To dhundne par bhi na miloon.
Mene dekha hai,
Logo ko Rang badalte hue.
Ek bar ye dil tuta to fir kabhi juda hi nahi. Shayad yahi wajah hai meri Nafraton ki.
Mujhe jo Zindagi ne dikhaya. Ab aur kch dekhne ka man hi nahi hota.
Ab kisi par Yakeen karne ka man nahi hota.
Haan mana ke Tera dil dukhaya aaj mene.
Or shayad tu mujhe kabhi maf na kare.
Par itna Yakeen zaroor rakhna mujh par or khud par.
Tujhe dekh kar mene Zindagi ko samjha hai.
Fir se ek bar Yakeen kiya kisi ki Dosti par.
In 6 salo tak..
Mene jis duniya me apne aapko kaid karke rakha tha.
Us duniya se bahar kadam rakhne ki himmat. Tera hath pakad kar hi to aayi hai.
Dar lagta hai, tune mera hath chor diya to me kahaan jaungi.
Wakif hoon is bat se me achi tarah se. Ki mene sabse jyada tujhe pareshan kiya hai.
Par pyaar bhi to utna hi kiya hai naa.
Mere Jazbato ko kabhi galat mat samajhna.
Tere Dil ko rulaya to mene khud kitne aansu bahaye ye tu kabhi soch bhi nahi sakta.
Let's go on a ride together again. And start a new journey.
Motu, Please maf kar de yaar. Fir se shuru karte hain ek naya safar. Dosti ka. Jo kabhi na tute.
Because I want You Umr bhar ke liye.
Tere varga Yaar kadi ni milna Yaar.
#TrulyDedicated
Comments
Post a Comment