Zindagi me phli dafa ek khwab sajaya tha.
Kisi ke kareeb jana chaha tha use apna bnaya tha.
Sare rishton se pare ek masoom sa saya tha.
Humari dosti bhi nahi hui thi or mera dil usne dhadkaya tha.
Aankho mein kuch khwab use dekh kar sajaye the.
Use apni zindagi ke sare raaz bhi nai btaye the.
Doob jaya karti thi uski aankho ki gehraiyon me.
Sukoon sa milta tha uski sunayi kahaniyon me.
Uske lafzo se apna naam sun'ne ka khwab bhi sajaya tha.
Apni hi galtiyon se us pyaar ka dil ka dil dukhaya tha.
Wo mehak vishwas ki uda di mene.
Apne hi khwabo ka mehal gira diya mene.
Ab yakeen use dilana bhi mumkin nahi lagta.
Tumhare jitna kareeb aaungi tumhara dil hi to dukhaungi.
Behtar hai mera tumse door chale jana.
Kabhi na sach hone wale khwab ko fir bhi apni palko pe sajaana.
Ye wo kabhi naa mukammal hone wali kahani hai jiske masoom se ehsaas ne phli baar anjane hi mere dil me jagah bnayi thi.
I know one thing very well that there's nothing exists in this world that can bring you back.
I'm sorry! 😣
Comments
Post a Comment