Tera khwahisho me dhal Jana. Mera teri chahato me dhal Jana.
Acha lagta hai kabhi kabhi mausam ka badal Jana.
Uske aangan me galti se feki hui shuttle lane gyi thi.
Anjan thi tujhse rabta sa ban jana.
Us pal me apni kahaniyaan shuru hi hui thi. Haan maine chaha tha inka sach ho jana.
Khwahisho ke pitare me band ek khwahish ye bhi thi..
Mera naam jud jaye tere naam ke sath. Meri pehchan ban jaye tera afsana.
Kabhi socha na tha kabhi na jana.
Aakhir kyu dil hota hai deewana.
Kyu dhadkano pe kisi ka nam likha jata hai.
Kyu dil ko pagal kehta hai ye zamana.
Kabhi kabhi sochti hoon.. acha hai ye dhadkanein nahi kisi ke naam. Na ye dil kisi rawangi ka deewana.
-Aayat.
Comments
Post a Comment